Friday, February 17, 2012
bas aise hi
Muskuraye hotho par dil mai roo diye,
Socha tha khushiyan hongi bepanhaa,
Aaj hisab bhi bina barabar kar chal diye.
Wednesday, August 27, 2008
KUCH AUR HAI ........
Andheron ki geraaiyon mein,
chup chaap chupi ek bhor hai
Iss duniya ki bheedh se,
mera naata mehaz ek dor hai
Shor mein bhi sannata hai,
sannate mein bhi shor hai
Unn mata pitao ki aankho mai bhi,
khwaishon ka dekho ek bhoj hai.
Har muskurahat ke peeche baithi,
Kisi jeevan kahani ka nichodh hai.
Har kati patang ke sang kisi,
Bacche ki umeedon ki dorr hai.
Aage badhne ki iss chahton mai,
Peeche Soone aangan ka daur hai.
Kitna bhi chupa le yeh aankhen,
Neer ka inse rista kuch aur hai.
Aaine se jhak rahi jo shakal,
yeh mere jaisa koi aur hai.
Friday, January 4, 2008
Teri Tasveer
Tere Pyar Main Sab Ko Bhoola Rakha Hai
Kuch Acha Nahin Lagta Teri Judai Ke Baad
Ek Teri Yaad Ko Seene Se Lagaye Rakha Hai
Muqadar Say Milte Hain Bichard Ke Warna
Aaj Bhi Tera Naam Dil Main Saja Rakha Hai
Na jaane Koi Nahin Basta Tere Siva Aankh Main
Ek Teri Tasveer Ko Dil Main Chupa Rakha Hai
Kiya Hai Maine
Unse koyi shikwaa na shikaayat karenge
Jo kuch mila hai pyaar mein chupchaap sahenge
Dil kee deewaar pe zakhmon ko siyaa hai maine
Dard uthtaa hai to usko bhee piya hai maine
Gam ke vaade men ye toofaan jab bhi aate hain
Apni yaadon ko hi ilzaam diya hai maine
Meri Dhadkan mein woh rehtein hain jaise sadiyon se
Par zubaan se na kabhi naam liya hai maine
Berukhee unki ye kis modh pe le aayi hai
Aanson ko bhi to chupke se piya hai maine
Bezubaan dil ye bhalaa kaise koyi baat kahe
Isko nagmon mein hi izhaar kiya hai maine
Saans chalti hai to jeena bhi padega mujhko
Meri tanhayee ko aise hi jiya hain maine
Tere Pas
tu nahi hai, tere pyar ki nishani mere pas hai,
salon se bacha rakhi hai, chot ek purani mere pas hai,
dard hai par neeend ki kami nahi hai mujhe,
maan ki ek pariyon ki kahani mere pas hai,
mushkilen hain abhi age behisaab to kya hua,
hausala hai,josh-e-jawani mere pas hai,
hansi tumhare pas hai,kehkahe tumhare pas hain to kya hua,
kisi bhookhe bacche ke liye aankh main pani mere pas hai,
na chah kar bhi ho jate hain dil tujh pe fida ,
na jane kaisi subz ada-e-mastani tere pas hai……
Tuesday, November 27, 2007
Andhiyaar
Bijliyan chahein girao,
Zal gaya hai deep to andhiyar dhal kar hi rahega.
(1)
Roshni poonji nahi hai, jo tizori mai samaye,
Wah khillona bhi na, jiska daam har grahak lagaye,
Wah pasine ki hansi hai, wah sahidon ki umar hai,
Jo naya suraj ugaye jab tadap kar jhil milaye,
Ugg rahi lau ko na tonko,
Jyoti ke rath ko na roko,
Yeh subah ka doot har andhere ko nigal kar hi rahega,
Zal gaya hai deep to andhiyaar dhal ke hi rahega.
(2)
Hai jawani to hawa har ek ghoonghat kholti hai,
Tonk do to aandhiyon ki boli bolti hai,
Woh nahi kanoon jaane, woh nahi pratibandh manne,
Woh pahadiyon par badliyon si uchalti dolti hai,
Zal chandhi ka lapeto,
Khoon ka sauda sameto,
Aadmi har qaid se bahar nikal kar hi rahega,
Zal gaya hai deep to andhiyaar dhal kar hi rahega.
(3)
Waqt ko jisne nahi samjha use mitna pada hai,
Bach gaya talwar se to phool se katna pada hai,
Kyo na kitni hi badi ho, kyo na kitni hi kathin ho,
Har nadi ki raah se chattan ko hatna hi pada hai,
Uss subah se dosti kar lo,
Har kiran ki maang bhar lo,
Hai jaga insaan to mausam badal kar hi rahega,
Zal gaya hai deep to andhiyaar dhal kar hi rahega.
Mai kavita nahi kar pata hoon
Khidki se takte barish ki boondn se kagaz gila nahi kar pata hoon,
Sondhi si gilli mitti ki khusbo se dil ko nahi behla pata hoon,
Woh sath mai baithe doston ki baaton ko mann se nahi nikal pata hoon,
Woh sardi mai chai ki chuski lena par kissi ko kapkapa nahi pata hoon,
Woh beet gaye jo lamhe unko aankho ke mtoiyon se dho nahi pata hoon,
Mai kavita nahi kar pata hoon, mai kavita nahi kar pata hoon…….