Wednesday, August 27, 2008

KUCH AUR HAI ........


Andheron ki geraaiyon mein,
chup chaap chupi ek bhor hai

Iss duniya ki bheedh se,
mera naata mehaz ek dor hai

Shor mein bhi sannata hai,
sannate mein bhi shor hai

Unn mata pitao ki aankho mai bhi,
khwaishon ka dekho ek bhoj hai.

Har muskurahat ke peeche baithi,
Kisi jeevan kahani ka nichodh hai.

Har kati patang ke sang kisi,
Bacche ki umeedon ki dorr hai.

Aage badhne ki iss chahton mai,
Peeche Soone aangan ka daur hai.

Kitna bhi chupa le yeh aankhen,
Neer ka inse rista kuch aur hai.

Aaine se jhak rahi jo shakal,
yeh mere jaisa koi aur hai.


Amit