Andheron ki geraaiyon mein,
chup chaap chupi ek bhor hai
Iss duniya ki bheedh se,
mera naata mehaz ek dor hai
Shor mein bhi sannata hai,
sannate mein bhi shor hai
Unn mata pitao ki aankho mai bhi,
khwaishon ka dekho ek bhoj hai.
Har muskurahat ke peeche baithi,
Kisi jeevan kahani ka nichodh hai.
Har kati patang ke sang kisi,
Bacche ki umeedon ki dorr hai.
Aage badhne ki iss chahton mai,
Peeche Soone aangan ka daur hai.
Kitna bhi chupa le yeh aankhen,
Neer ka inse rista kuch aur hai.
Aaine se jhak rahi jo shakal,
yeh mere jaisa koi aur hai.
1 comment:
aaina ek dwaar hai, jisme aap apne aankhon main cheepe khawbo ko dekh sakte hai , aur sapna woh madhyaam hai jisse aap apne un khwaboo ko jii sakte hai
Post a Comment