Abb kisi ki chah na karna,
Na kissi ka intezzar,
Mehnat karna aaj hi sikho,
Warna padegi waqt ki maar,
Socho tum kaise jiyoge,
Tum se mehnga yeh bazzar.
Do duwanni hath par rakhkar,
Na dekho tum sunhare khawab,
Roti mehngi padh jayegi,
Aur bhoonkh ki maar behisab,
Jab aante lage phad phadane,
Aur aankhon se neer ki dhar,
Tab ehsas sparsh karega,
Tum se mehnga yeh bazzar.
Chota baccha roega jab,
Aur mangega motor car,
Hath dikha ke jab daraoge,
Aur doge usko danth phatkar,
Dil sisak sisak ke tiraskar karega,
Tab ehsas sparsh karega,
Tum se mehnga yeh bazzar.
Jab maa baap ki aashon ka,
Kandhe par bhar padega,
Jab biwi ke sapno ko ,
Poora karne tu chalega,
Thokar lagegi kadam kadam par ,
Tanno se jina durbhar ho jayega,
Tab ehsaas sparsh karega ,
Tum se mehnga yeh bazzar.
Jeevan behti dhara hai,
Maut atal ek kinara hai,
Arthi ka bhoj sab par parta hai,
Aur tub hi to ang humara hai,
Kafan ki kimat jab pehchanega,
Lakidyon ka mole tab janega,
Tab har saans ruk ruk kar chalegi,
Aur padegi waqt ki maar,
Tab ehsaas sparsh karega,
Tum se mehnga yeh bazzar.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Bas ek hi baat keh sakti hoon" Kya likha hain":)
Post a Comment